refurbished phone kya hota hai refurbished meaning hindi.


Agar aap bhi baar bar apne mobile phone ko change karte rahte hai to aap ne ek bar jarur suna rahega refurbished phones ke bare me aur aap sabhi ke man me vichar aata hoga aakhir ye refurbished ka meaning hindi me kya hota hai to aap bilkul sahi jagah per aaye hai 

Yaha per aap sabhi ko pata chalne wale hai ki refurbished ka matlab kya hota hai aur kya hame refurbished chije lena chahiye ya nahi .
refurbished meaning hindi
refurbished meaning hindi


Agar aap bhi online phones laptops aur bhi bahut se gadgets online Shopping kar ke hi lete hai to aap ne aksar ecommerce sites pe dekha hoga ek options aata hai jaha per likha hota hai refurbished phones to aap ke man se sawal jarur aata hoga aakhir ye kon se phones hai q ki oh sare phones aap sbhi ko bahut hi kam price per same configuration ke sath milte hai .

refurbished meaning hindi

Ab aap sabhi ko bata du ki refurbished phone ka matlab hota hai ki kisi phones ya kuch samay ke liye used kiya gaya ho aur usme kuch karabhi aane ke ki wajah se us phone ko wapas company me lautha diya jata hai.

Aur company us phone ko wapas puri tarah se check karke uska test leke dekhti hai ki ab oh phone kaisa chal raha hai fit uske baad usi phone ko market me becha jata hai refurbished ka matlab hita hai ki kuch samay istemal kiya huaa .

 Used and Refurbished Phones me kya different hota hai in Hindi

Jaisa ki abhi mene aap sabhi ko bataya ki Refurbished ka matlab hota hai us phone ko kuch dino ke liye hi istemal kiya jata hai aur company fir se us phone ko check karke Market me sale karte hai

Lekin used phones ke bare me baat kare tho used phones ko bol nahi sakte hi us phone ko kitne samya se use kiya ja raha hai aur used phones me aap sabhi ko guarantee nahi milti hai lekin Refurbished phones me aap sabhi ko kuch samay ke liye guarantee mil jati hai.

certified refurbished meaning in hindi.
Certified Refurbished Phone के फायेदे.

Agar aap ek Certified Refurbished Phone ya laptop lete hai to iske kuch fayde bhi hai .

1:- new phones ke mukable Certified Refurbished Phone aap sabhi ko kam kimat me mil jata hai .

2:-  agar aap Certified Refurbished Phone lete hai to iske sath bhi aap sabhi ki 6 month ya 1 years ki warranty bhi milti hai .

3:- agar aap kisi badi ecommerce site se Certified Refurbished Phone lete hai to aap ko uske sath accessories bhi milti hai .

Kya Refurbished Phone per warranty milti hai? 

Abhi jaisa aap sabhi ne padha ki Refurbished phones ko agar aap kisi directly company ki website se ya kisi trusted ecommerce website jaise ki amazon , flipkart, 2GUD  jaisi site se karidte hai to aap sabhi ko Refurbished phones per bhi kam se kam 6 month se 1 years ki  Warranty milti hai .

Refurbished phones kaha milte hai .

Agar aap Refurbished phones lene ki soch rahe hai to bahut sare jagah se aap ko Refurbished phones bade hi aasani se mil jate jate hai.

Lekin agar aap Refurbished phones pe paise invest kar rahe hai to mera to aap sabhi ko yehi suggest karunga ki aap kisi trusted website like flipkart, amazon jaise website se purchase kare .
Also read :- BEST SMART TV UNDER 20000 RUPEES IN 2020.

 Grade Types of Refurbished phone

Refurbished phone lene se pahle aap sabhi ko uske bare me thoda jarur malum hona chahiye to aap sabhi ko bata du ki Refurbished phones me 4 grade hote hai jisse aap ko pata chalta hai ki phone ki condition kaisi hai .

Grade A :-  yeh grade ke Refurbished phone aap bina kisi tenssion ke le sakte hai is me aap sabhi ko phones ki quality bahut achi milti hai .

Grade B :- yeh grade me aap sabhi ko jo phone diya jata hai isme kuch khamiya hoti hai jese ki phones per halke screech sagarah dekhne mil jate hai 

Grade C:- yeh grade ke phones ko aap dekh kar bata sakte hai ki ye phones pahle kisi me use kiya gaya hai .

Grade D:- yeh grade ek dam low quality ke phones ko bahut hi kam price me sale kiya jata hai aur ye ek used kiya huaa phone hota hai .

My opinion on Refurbished phones.

Agar aap ka budget thoda dila hai aur aap ko koi bade brand wala phones lena hai to aap Refurbished phones ke sath ja sakte hai lekin phone lene se phale uper diye gai baato par jarur dyan se jaise uska grade kya hai aur trusted website se hi phones purchase kare .

Me ummeed karta hu aap sabhi samajh gaye honge ki Refurbished ka matalab hindi me kya hota hai .

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

apple pie app in android

Best insurance company

Samsung’s new Galaxy Book S full details and specifications in hindi.